Monday, May 12, 2014

TERI KASAM

Hath badaakar sar par rakh khayi usne ek kasam,
Mehsoos kiya jo maine ... nahi hai use koi gam,
Kha kasam soch baithi santosh kar diya mere vishwas ko,
Khudko nilam kar paye yeh jazbaat jo pehchante tere har bhav ko.

(Meaning : Ek baar ek ladka pooch baitha ladki se kya use koi sata raha. Usne kasam kha mana kar diya nahi use ki gam. Ladka apne se kehta "Keh le jo kehna hai par maine teri aankhon me dekhe woh jazbaat jo usne apne aap ko kho kar paaye hai.")

Inkaar kar dene se sachchai nahi badalti,
Kyu tu woh na dekhna chahti jo meri aankhein dekh paati,
Teri har hasi main jhalakta hai dard kahi,
Na jaane aesi kaun si baat hai jo aaj tak tujhe sata rahi.

(Meaning : Uske inkaar se sachchai nahi badlegi... yeh jo ladke ke ankhein keh rahi woh kyu nahi dekh paati)

Jab maan liya hai dost to nibhane de yeh dosti,
Pee legi tera dard laa degi yeh hassi dosti.

(Meaning  Jab dost mana hi hai to nibhayega ab woh dosti)

No comments:

Post a Comment