Wednesday, May 7, 2014

AKELAPAN

Kuch kami hai iss akelapan ... lagta hai darr,
Andhere ki chapete main lagta hai darr.

Khoya Khoya tanha tanha kaise kahu tadpa hu yaha
Dooba Dooba zillato main raha har pal sirf ghutta raha,
Pissa Pissa khud ko bechain kiya apne aap se ladta raha,
Rota raha lamha lamha jab tak aankh ka pani sookh na gaya.

Fass hui thi meri rooh us akelepan ke shaitan ke pass,
Bechain Karta tha mujhe jab tak nikalti nahi thi saas,
Har mod par todta tha hosla rakhta tha khataas,
Ab kuch na tha sivaaye rone ke mere paas.

No comments:

Post a Comment