Sunday, July 6, 2014

KHUSHIYAA

Ek ghante mein keh diya ek saal ka nazariyaa,
Dil ki gehrayiyo mein hiraasat tajurbey (experience) ko udel (poured out) diya.
Apne haath ke taash ke patte dikha use takdeer-e-kalam saup di,
Likh saake mere naasib mein apne gum yeh zeest (zindagi) us saarthi ke naame ki.

Mujhe kin shabdo mein tol rahi isse paare main soch raha,
Tere damaan kushiya laane ki koshishe badi kar raha,
Mere kiye intezaamo ko uphaaro ko kisi rishte ka naam na de,
Teri khushiyo ko laane ki parishaniyo ko janane ki mujhe ijaazat de.

Koi mukhbeer nahi mera sirf yeh waqt rasool hai,
Yeh ittefaq nahi mitra khuda ka baksha ek noor hai,
Tere zariye meri zeest mein aane wala sukoon hai, 
Teri khushiyo mein mila mera naya wajood hai.

No comments:

Post a Comment