Kya kar guzar gayi e-kismat meri,
Jo mujhse itni khafa hui,Jo nazare anjaan samajh mujhe dekhti thi,
Jaankar ab mujhe begaana kar guzari
Yeh to samajh gaya mujhse hai tu bahut juda,
Jaante hue bhi yeh dil sirf tujhpe aake ruka,
Nazar-andaz karna tera dil par chhuriya chalata,
Bas teri ek hasi ke liye apni khushi lutana janta.
Yakeen to tha apne pyaar par hamesha,
Tootne lagi himmat jab takraar ka hua saamna,
Shayad bana diye tune pyaar ke naye usool o-khwaaja,
Jo pyaar ko pyaar karne se phle iktila karna pada.
Soch main thi zindagi jab li usne pyaar ki angadaayi,
Tujh masoom ke pyaar ki mohhar ke liye is dil ne darkhwast lagayi,
Apna haal-e-dil in lavzo ne sanjog ke pahuchaayi.
Apni pyaar ki kahani is dil ne tujhe samajhayi.
Chahta na tha apna pyaar tujh par thopna,
Amen tha dil se tera mere pyaar ko kaboolna,
Bas barkraar rahe in nazaro ka ladna,
Chahe muqambal ho door se ek-dooje ko nihaarna.
Khayal the nek..tere pyaar main ho maanzil-e-maqsood,
Har Ashk mere kahe.. teri parchhayi hai har boond main maujood,
Na keh begaana mujhe jab jaanti tu iss pyaar ki bhook,
Ab tera bina kya mera wajood.
Galat to tha pehle bhi,
Galat to tha aaj bhi,
Bas yeh na pata mujhe ki,
Pyaar mein padke galat hu
Ya Pyaar ke ikraar mein galat hu.

No comments:
Post a Comment