(Concept : Kabhi kisi ke liye intezaar kiya, shabdo mein kabhi byaan na kiya, Is ehsaas mein bhi apna anand hai, yeh dil usse milne ke liye bekraar hai.....
intezaar vishwaas hai uske aane ka, apna pyaar jataane ka, pukaar rahi hai dhadkaane meri zara sun le.. mein kab se khada hu apni ik nazar to inaam de.....
Uske paas guzarne se shareer use mehsoos kar leta hai... uski hassi ya awaz se bhi yeh uski pehchaan kar sakta hai, lakh manaa kar de intezaar karne ki... besharam dil aaj bhi tera intezaar karta hai.)
Intezaar kaisa hai,
Aashique ke bagair adhura hai,intezaar vishwaas hai uske aane ka, apna pyaar jataane ka, pukaar rahi hai dhadkaane meri zara sun le.. mein kab se khada hu apni ik nazar to inaam de.....
Uske paas guzarne se shareer use mehsoos kar leta hai... uski hassi ya awaz se bhi yeh uski pehchaan kar sakta hai, lakh manaa kar de intezaar karne ki... besharam dil aaj bhi tera intezaar karta hai.)
Intezaar kaisa hai,
Uski yaadon mein basera hai,
Har pal har lamha uske liye tadapna hai,
Sirf ek hi khayal main yeh dil doobta hai,
Is intezaar ke baad hum dono ko milna hai.
Ek alag hi swaadh hota intezaar-e-ghadi mein,
Usse juda har kissa taza hota in aankhon mein,
Dil aur zor daalta jagah banaale uske dhakdkan mein,
Kab tak intezaar karega ab to bas ja uske qalb (dil) mein.
Intezaar to aisa hota...Phalke bichhaye raah takhte aas lagaye bethna,
Dekhna...kab woh aaye aur seene se lagaye.
Intezaar aisa bhi hota hai...Uske aane ka..apne pyaar par vishwas hota hai,
Saalo Saal guzaar jaate hai ... fir bhi us chaukhat par intezaar-e-nazar rehti hai.
Usne keh diya mera intezaar mat karna,
Main bhi dil se majboor tha intezaar kaisa na karta,
Kitne hi khwaab bante bhigade uske aane ki tyaari main,
Jo kami chhut gayi uski maujoodgi main....poori karunga wahi uski vapsi main,
Tere hassi...awaaz... har aahat se... yeh shareer rubaru hua,
Guzarati (she) hai to...fizaayon mein badalte mausam mein khoya,
Is Jamaat (shareer) mujhse jyada tera zikra hua...
Mujhse jyada tujhko maine jiya.