Saturday, November 23, 2013

EK KOSHISH

Yaadein purani tere dil se kaise mitaun
Chubhti un baathon ko kaise dil se hataun
Kis bahane se tere dil mein main aaun
Kaise main tere dil mein ek chhoti si jagah banaun

Koshishe kitni ki kya bataun
Zehen main tere main hu ... ye kaise pata lagaun
Kaise tere toote dil ko main manaun
Apne dil ko tere dil se main milaun

Bekhabar in se .... kaise yeh baat pahuchaun
Kaise apni pyar ki boonde tujh par chhalkaun
Dil mein tere apni tasveer main chamkaun
Kaise apna naam tere muuh se bulwaun


Bebasi ka ye alam chhudae ni chhutta,
Dil kyu mera tere liye tadapta,
Beech mein main sabke rehta,
Phir bhi na jane main kyu akela mehsoos karta.

Dosto ne kaha yeh to gaya salaa,
Main bhi kya kehta main to tha pyaar ka maara.
Dard mein main kisisko dekh nahi pata,
Tujhme bhi mujhe apna dard nazar aata .
Insaan hu .... bhukaa hu pyaar ka,
Dhundta hu use jo mujhe apne pyar layak samjhta

Sunday, November 17, 2013

TUM HI HO

Ateet ka saaya chal raha tha lekar,
Kis mod par thi zindagi isse tha bekhabar,
Badali zindagi mili jab tujhse nazar,
Utar gaya zehan yeh lamha yaadgaar zindagi bhar.

Meri har nazar teri jhalak ko tarasti,
Teri har muskaan iss dil ki gati badaati,
Tera balon ko kaano ko pichhe karna madhosh karti,
Teri har baat har adaa mujhe deewana banati. 

Azma le yeh saadhagi kaiyon ka dil le doobti,
Adayon ki nazaakat deewano ka katal karti.
Har shayar ki shayari main, bachche ki muskaan main teri masoomiyaat jhalakti,
Aur bheed main bhi tu ek sitaare ki tarah chamakti.

Un bachcho ko dekhke tera pighalna mujhe rula gaya,
Unki zindagi ko savaarne ka zimma mujhe chhu gaya.
Ye to samajh gaya khoya hai tune apna pyaar kabhi,
Isliye har zarre main jhalakti tere pyaar ki bhook kahi.

Aashiqui hai tujhse kahunga ye dil se,
dikha dunga pyaar itna, dil tu badle main de de,
Pyaar par mujhe hai yaakeen, karta hu aitbaar,
Tadapunga zarur par karunga tera intezaar.

Jaanta hu pehchanti hai tu mere pyaar ko,
Phir kyu dukha rahi hai mere jazbaato ko,
kuch nahi chahta ashique sivaaye tujhe paano ko,
Kyunki Tum hi ho Ab Tum hi ho Zindagi ab tum hi ho.

Saturday, November 9, 2013

MERA DARD

Shikhast thi mili, pyaar ke kheme main mili thi haar,
Sawaal the mann main uthe, poochne ko the bekraar,
kya hui thi khata, jo hui woh ishq se fraar,
Shiddaat na thi, ya chhal tha mera pyaar.

Isi uljhaan main yeh dil bidaktaa raha,
Bin kahe yeh dil karhaata raha,
Na thi pyaar main kami kehke yeh baihlata raha,
Kisi aur ko paane mein yeh khudko samethta raha.

Bekhabar main, mila betha kisi se akhiyaan,
Bholepaan mein uske gawaa baitha apni nindiyaan,
Subah Shaam lagta, bas odtlu uski chunnariya,
chhuke uska dil, banaake apni Sawaariya.

Dekhkar laga samjhegi mere jazbaato ko,
Hosh aya, jab rondha mere armaano ko,
Nasamajh tha jo nazar andaz kiya uske ishaaro ko,
bhuja di woh shama jo sulaghti thi use paane ko.

Kehti thi achhai nahi, uski khamiyo se karo pyaar,
Ishq hai pooja aashiqui hai inaam,
kaatil in aadaayo ka hua uska ghulaam,
Bin soche kuch kiya khudko uske naam.

Mere haar lavz me woh jhalakti,
Lagta mere dard ko woh bakhubi samajhti,
Kyu likhi mere naasib main itni badkismati,
Jis pyaar par tha khumaar, wohi meri sabse badi galti nikali.